Joke

Deikha!!!!

Maan baap apni iklauti aulaad ko parha likha ke bara aadmi banana chahtey they...jaisey hi nanhe ne bolna shuru kiya maan baap usko sikhne lagey bolo alif...hazaar jatan kiye...pur bacha alif na bol ke diya... kai master badle pur bacha alif na bol saka...yahan tak ke uskey chotey behan bhai school janey lagey...pur bara bhai wohi ka wohi...maan baap ko bohat fikar hoi ke iska baney ga kiya... akhir aik din chotey bhai ko parhatey parhatey master sab ne laalach diya beita bolo alif mithai miley gi...kafi koshish ke baad nanha bol para alif... lo ji master, kids n parents ki khushi ka koi thikaana na raha...master saab ke hawas jab qaboo mein aaye tau woh boley beita shabash ab bolo "bey" baita bola...deikha!!!! isi liye mein alif nahin bol raha thaa