Joke

Dua Qabool Hogai.

aik sahab ke dost un ke ghar aatay hain dinner ke liye
dost jese hi ghar main dakhil hotay hain toti ki awaz aati hai
aagaya aagaya.lagta hai khana kha ke hi jaigay subha ka bhooka lagta hai
woh sahab sharminda ho ke kehte hain yaar main is se pareshan aagaya hon
yeh toti bohat badtameez hai.
dost kehte hain yaar yeh toti tum mujhe dedo.
mere paas 2 totay hain bohat hi ibadat karne walay hain.aik to tasbeeh parhta hai
aur dosra sajday main gira rehta hai.
woh dost toti leja kar pinjray main daaltay hain.
tasbeeh parhnay wala tota tasbeeh side main rakhta hai aur jo sajday main gira hota hai
uske aik kick lagata hai. ABAY UTH JA APNI DUA QABOOL HOGAI.