Joke

Tasweer

CID Inspector ki post k silsalay main interviews ho rahay thaay... Muqarar waqt per sirf teen he larhkay aaey... Pehlay ko ander bulaya gaya... Interview laynay walay chairman nay ossay yak-rookhi tasweer di aur poocha : "Iss tasweer main anookhi baat kia hai...?"
Larhkay nay bohat ghoor k baad jawab deya k wo hazrat jin ki ye tasweer hai sirf eik kaan rakhtay hain.
Iss per chairmain hayraan hoa aur kaha : "Mohteram! ye side pose hai... Zahiri baat hai k eik kaan he nazar aaey gaa... App ja saktay hain."
Dosray larhkay nay bhi yehe jawab deya : "kaan eik he hai..."
Chairman aagh bhagoola ho gaya aur iss qadar maamooli zahanat rakhnay per ossay bhi jaanay ko keh deya..
Teesray larhkay say bhi yehe sawal keya gaya... Oss nay tasweer ka baghoor jaiza leya... Bohat soochnay k baad oss nay kaha : "Wo hazrat jin ki ye tasweer hai onhoon nay contact lense lagaey hain."
Ye suntay he chairman apni kursi say ochal pera aur kaha : "App ka jawab bilkul dorust hai... App ye bataein app nay ye kaisay jana?"
Oss nay kaha : "Inn hazrat ki omer chaleees (40) say oper ki lagti hai... Iss omer main amooman nazar kamzoor ho jati hai... Inhoon nay ainak ki bajaey contact lense lagwa leye kiunK ainak laganay k leye doo kaan chaheyein jo inn k pass hain nahi... Inn ka eik he kaan hai na...???"